Posts

Showing posts from May, 2014

Sochta hoon ke woh kitne masoom the

Roothna mera kaargar na hua Yaar mere jatan ko jaan gaya Jab wo aaya mujhe manane ko  main badi saadgi se maan gaya Tumhare pyar ka dam bhar raha hoon Badi paakidagi se marr raha hoon Mujhe tumse garaz kuch nahi hai Fakat tumse mohabbat kar raha hoon Achchi Surat ko sawarne ki zarurat kya hai Saadgi mein bhi kayamat ki ada hoti hai Tum Jo aa jate ho masjid mein ada Karne namaaz  Tumko maloom hai kitnon ke kaza hoti hai Aaj roothe hue saajan ko bahut yaad kiya Apne ujde hue daman ko Bahut yaad kiya Jab kabhi gardish e taqdeer ne ghera hai humein Gaisu e yaar ki uljhan ko Bahut yaad kiya Aaj toote hue sapnon ki Bahut yaad aayi aaj beete hue sawan ko Bahut yaad kiya Sochta hoon ke woh kitne masoom the  Kya se kya ho Gaye dekhte dekhte Maine patthar se jinko banaya sanam Wo khuda ho gaye dekhte dekhte Mere haathon se tarashe hue patthar ke sanam Mere hi saamne bhagwan bane baithe hain Jin pattharon ko humne ata ki thi dhadka