main nazar se pee raha hun

nazar se nazar ab milaayi gayi hai
main peeta nahi tha pilaayi gayi hai

main nazar se pee raha hun
yeh sama badal na jaaye

teri nazron se pee hai khuda ki kasam
umar saari nashe mein guzar jaayegi

peene ki aarzoo na pilaane ki aarzoo hai
tumse faqat nigah milaane ki aarzoo hai

meri badanoshi ke waaste koikais e jaam o subu nahi
mujhe kaif rehta hai har ghadi yeh teri nigah ki baat hai

wo nazar uthi toh maikhaane bane
mera dil toota toh paimaane bane
mudaaton se aarzoo thi hosh ki
hosh aaya toh deewane bane

tere karam ka bhala kya shumaar hai saaki
jise bhi dekha wohi mehve khumaar hai saaki
wo badanosh hoon mauka hayat kya jiski
teri nazar pe hi daromdaar hai saaki

wo kaun hai jo tere maikade se bach nikla
teri nazar ka toh aalam shikar hai saaki

na jhukaao tum nigahein
kahin raat dhal na jaaye

jhuki jhuki si nigahon ne zulf e barham ne
wo baat khol ki rakh di jo thi chhupaane ki

yeh udi udi si rangat
yeh khule khule se gesu
teri subah keh rahi hai
teri raat ka fasaana

mere ashq bhi hain is mein
yeh sharaab ubal na jaaye

mera jaam chhune waale
tera haath jal na jaaye

abhi raat kuch hai baaki na utha nakaab saaki
tera rind girte girte kahin phir sambhal na jaaye

meri zindagi ke maalik mere dil pe haath rakh de
tere aane ki khushi mein mera dam nikal na jaaye

mujhe phoonkne se pehle mera dil nikal lena
yeh kisi ki hai amaanat mere saath jal na jaaye

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil