aayi naseem e koo e muhammad

aayi naseem e koo e muhammad
salallah ho alaihe wasallam
khinchne laga dil soo e muhammad
salallah ho alaihe wasallam

aye saba kya yaad farmaaya hai
aaka ne mujhe soo e muhammad

kaaba hamaara koo e muhammad
salallah ho alaihe wasallam
midhat e imaan roo e muhammad
salallah ho alaihe wasallam

tooba ki jaanib takne waalon
aankhe kholo hosh sambhaalo
dekho khamein dil joo e muhammad
salallah ho alaihe wasallam

naam isi ka baab e karam hai
dekho yahi mehrab e haram hai
ek khamein ab roo e muhammad
salallah ho alaihe wasallam

khair ul bashar khair ul wara
salle ala salle ala
shams ud duha badr ud duja
salle ala salle ala

bheegi bheegi khushboo lehki
'Bedam' dil ki duniya mehki
khul gaye jab  gesoo e muhammad
salallah ho alaihe wasallam

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil