koi saleeka na aarzoo ka na bandagi koi bandagi hai

tera karam karam hai meri zindagi ke saath
aisa karam hua hai na hoga hai kisi ke saath
koi kisi ke saath hai koi kisi ke saath
meri toh zindagi hai faqat aap hi ke saath

kareem aur bhi honge jahaan mein lekin
hamaari daudh faqat tere aastaan tak hai

koi saleeka na aarzoo ka na bandagi koi bandagi hai
yeh sab tumhaara karam hai baba ke baat ab tak bani hui hai

yeh tera karam hai
warna main kya mera jahaan kya

diya wo dard ke banda bana diya tune
yeh tera karam hai

tera gham meri musarrat tera dard zindagi hai
tu karam se jo bhi de de teri bandaparwari hai

deedar ke kaabil yeh kahan meri nazar hai
yeh teri inaayat hai ke rukh tera idhar hai

tumhara naam lene se mujhe sab jaan jaate hain
main wo khoyi hui ek cheez hoon jiska pata tum ho

kisi ke ehsaan kyun uthaayein kisi ko haalaat kyun bataayein
tumhi se mangenge tum hi doge tumhare dar se hi lau lagi hai

ata kiya mujhko dard e ulfat kahan thi yeh purkhata ki kismat
main is karam ke kahan tha kaabil huzur ki bandaparwari hai

amal ki mere asaas kya hai bajuz nizaamat ke paas kya hai
rahe salaamat tumhari nisbat mera toh bas aasra yahi hai

khuda ne diya hai mujhe tera dar
mera toh bas aasra yahi hai

teri chaukhat hamesha salaamat rahe
tujhpe qurban husn e aqeedat rahe

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil