raat ko chaandni jab khile

raat ko chaandni jab khile
dil ko nashad karta hoon main
ek bhooli khushi ke liye
laakh gham yaad karta hoon main

dekhein hairaan ho kar mujhe
ab toh panchhi meri aas ke
khud hi pinjre mein daalun inhein
khud hi aazaad karta hoon main

waarta hoon ghazal par ghazal
tujhpe aye dilruba aadmi
jitni daulat mere paas hai
yun wo barbaad karta hoon main

mujhse nazrein badalne ke baad
kuch toh hogi nadaamat tujhe
ja wafaaon ki zanjeer se
tujhko aazaad karta hoon main

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil