le ke aaya hoon main kuch muhabbat ke phool

le ke aaya hoon main kuch muhabbat ke phool
kar qubool kismat wagarna kya gila
dil ke tukde tukde chunkar nazar karne laaya hoon

le ke aaya hoon main kuch muhabbat ke phool
mere sohne nabi mere pyaare rasool

chaahe berang hain phir bhi kar le qubool
mere sohne nabi mere pyaare rasool

tu hai aaqa mera main hoon tera gada
tere aastaan main fakeer hoon
kisi dar pe kyun main sada karoon

tere tukdon pe pala gair ke thokar pe na daal
jhidkiyan khaaon kahan chhor ke sadka tera

main kahan jaaon tera hoke tere dar ke siwa
tu apne qadmon mein banda nawaaz rehne de

main wo fakeer fakhr hi jiska ma'al hai
tu wo kareem jiska karam lazawaal hai

tu hai aaqa mera main hoon tera gada
kab sunega sakhi tu meri iltija

hoga kab teri rehmat ka mujh par naqool
mere sohne nabi mere pyaare rasool

sabne maana tujhe rehmatulaalameen
is tere wasm mein koi bhi shak nahi

maine bhi kar liya tujhko dil se qubool
mere sohne nabi mere pyaare rasool

aadmiyat ki hain is taraf manzilein
bekhatar kyun na ham us dagar par chalein

tune sab chun liye raaste ke bubool
mere sohne nabi mere pyaare rasool

roza e paak par jab 'Qateel' aayega
ek zarre se mehtaab bann jayega

tu bana le ise apne qadmon ki dhool
mere sohne nabi mere pyaare rasool

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil