Posts

Showing posts from 2018

naam lab pe rahega sada aapka

maalik ul mulk la shareeka la hu wahdahu la ilah illah hu shams tabrez gar khuda talabeen khushboo khwan la ilah ilah hu behad ne ajab kaam kiya hadd kar di guzarish e tanqeed meri radd kar di khud to parde mein rahe khud ko chhupaane ke liye phir saamne tasveer e muhammad kar di lab pe jab unka naam aata hai la makaan se salaam aata hai rehmaton ka nazool hota hai jab muhammad ka naam aata hai naam lab pe rahega sada aapka aye mere sarware ambiya aapka nizaam e qabr mein sarre mehshar naam lab pe rahega aapka naam e muhammad ki lazzat kisi mushtaq se poocho ho jaate hain wo fida sun kar naam e muhammad aaya labon pe zikr jo khair ul anaam ka gauga hua buland durood o salaam ka mujh par nisaar hone lagi mastiyaan tamaam main zikr kar raha tha muhammad ke naam ka aye aamina ke chaand naam lab pe rahega aapka naam anami rasool e akram ka har musibat mein kaam aata hai ya muhammad muhammad main kehta raha noor se motiyon ke ladi ban gayi aayaton se mi...

mehshar mein maghfirat ka bada aasra mila

ham hain durvesh na jaageer na zar rakhte hain taaj rakhte hain na ham laal o gauhar rakhte hain sainkdo aib sahi ek hunar rakhte hain bekhabar laakh sahi teri khabar rakhte hain taazeem se leta hai khuda naam e muhammad kya naam hai ae salle ala naam e muhammad allah kare uspe haraam aatish e do zakh jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad buron ko apna kaha rehmat e do aalam ne bada haseen  hai muqaddar gunahgaaron ka mehshar mein maghfirat ka bada aasra mila ham bekason ko daaman e khair ul wara mila sajde hue qabool dayar e huzur mein ab yaqeenan mujhe meraj e muhabbat hogi sajde hue qabool dayar e huzur mein qaabe se badh ke humko dar e mustafa mila uske sar e niyaz ko meraj ho gayi sarkar e do jahaan ka jise naqsh e paa mila qadmon pe uske jhukte hain duniya ke taajwar shaahon se badh ke pyare nabi ka gada mila