Posts

Showing posts with the label ghazal e qamar

dil pe chot lagti hai unke muskurane se

dil pe chot lagti hai unke muskurane se ho sake toh aa jaao ab kisi bahaane se saagir hai mai hai abr hai baade bahaar hai aye dost ab toh sirf tera intezaar hai har lamha zindagi ka mujhe nagawaar hai aa jaao zindagi ka kahan aitbaar hai sama suhaana hai sawaan barasta hai mee suhaana hai ho sake to aa jaao dil ke aangan ke udasi ko mitane ho sake to aa jaao saawqan aaya baadal chchaaye gulgul chehki phool khile aane waale sab aa pahunche saajan tum kab aaoge nabzein jawaab degayi  tod raha hai dam koi apne mareez e hijr se ab toh na beniyaz ho yun zindagi guzaar raha hoon tere bagair jaise koi gunah kiye jaa raha hoon main tadap uthti hai dil mein chashm se chashme ubalte hain khuda shaahid shab e furqat mein jo naale nikalte hain tum toh ab uthao na apne aastaane se tere paas aaye hain rooth kar zamaane se aaj apne gulshan ka rang hi niraala hai ud chuka hai phoolon ka rang unke jaane se unko bhool jaane ka dil kahan se laaun main main jitna bh...

koi mushkil tha mehshar mein unhein kaatil bana dena

koi mushkil tha mehshar mein unhein kaatil bana dena magar kuch soch kar rehman ya chara dua dena na poocha kam saneemi tum daga dene ki tarqeebein jawaani aayegi jab khud sikha degi daga dena koi apna zamaana yaad karke dil bhar aaya tha jo ab aansu koi dekho to mehfil se utha dena main mujrim hun mujhe iqraar hai jurm e muhabbat ka magar pehle khata par gaur karlo phir saza dena main is haalat se pahuncha hashar waale khud pukaar uthe koi fariyaad wala aa raha hai raasta dena ijaazat ho to keh dun qissa e ulfat sarre mehfil mujhe kuch toh fasaana yaad hai kuch tum suna dena 'Qamar' wo sab se chchup kar aa rahe hain fatiha padhne kahun kisse ki meri shama e turbat ko bujha dena

kehte ho mujhse ishq ka afsaana chaahiye

raazdaaron se bach ke chalta hoon ghamgusaaron se bach ke chalta hoon mujhko dhokha diya sahaaron ne ab sahaaron se bach ke chalta hoon shiraza e hayat pareeshan ho gaya ye marhala bhi khair se aasaan ho gaya mere sukoon e dil ko toh hona hi tha tabah unki bhi ik nigah ka nuksaan ho gaya muhabbat ki koi manzil nahi hai muhabbat mauj hai saahil nahi hai meri afsurdagi pe hasne wale tere pehlu mein shayad dil nahi hai kehte ho mujhse ishq ka afsaana chaahiye ruswayi hogi aapko sharmaana chaahiye khuddaar itni fitrat e rindaana chaahiye saaki ye khud kahe koi paimaana chaahiye matti kharab karte ho kyun bemaar e hijr ki jo tumpe mar gaya usse dafnaana chaahiye ankhon mein dum ruka hai kisi ke liye zaroor gow haathon ko jumbish nahi ankhon mein toh dam hai rehne do abhi sagar o meena mere aage kehna sitam kop choda lillah na ab satao ankhein taras gayin hain aa jao ab aa bhi jaao khuda ke liye ab toh aa jao warna ankhon mein dum ruka hai lab toh jawaab de...

din chchup gaya sooraj ka kahin naam nahi hai

maine masoom bahaaron mein tumhein dekha hai in haseen rahguzaaron mein tumhein dekha hai mere mehboob teri pardanasheeni ki kasam maine ashqon ki kataaron mein tumhein dekha hai dil ko kaise bata tasalli dun sabr isko agar nahi aata chashme purnam ko kaise samjhaaun isko jab tu nazar nahi aata tanhayi mein fariyad to kar sakta hoon veerane ko aabad to kar sakta hoon jab chaahun tumhein mil nahi sakta lekin jab chaahun tumhein yaad to kar sakta hoon na aate humein isme takraar kya thi magar waada karte hue aur kya thi tumhare payaamin e sabraaz khole khata ismein bande ki sarkaar kya thi din chchup gaya sooraj ka kahin naam nahi hai o wada shikan ab bhi teri shaam nahi hai dil tumko jaanta hai bewafa par pyar karta hai o wada shikan ab bhi teri shaam nahi hai aate aate lab pe aahein thak gayin aa bhi jaao ab nigahein thak gayin kehna sitam sitam ko chchoro lillah na ab na sataao ankhein taras gayi hain aa jao ab aa bhi jao har tamanna dil se rukhsat ho ga...

kisi ka naam lo benaam afsaane bahut se hain

maine masoom bahaaron mein tumhein dekha hai maine purnoor sitaaron mien tumhein dekha hai mere mehbob teri parda nasheeni ki kasam maine ashqon ki kataaron mein tumhein dekha hai pas rehta hai door rehta hai koi dil mein zaroor rehta hai jabse dekha hai unki aankhon ko halka halka suroor rehta hai ab woh rehte hain iss tarah dil mein jaise zulmat mein noor rehta hai kisi ka naam lo benaam afsaane bahut se hain najaane kisko tum kehte ho deewane bahut se hain jafaon ke gile tumse khuda jaane bahut se hain magar mehshar ka din hai apne begaane bahut se hain  bas ab so jao neend ankhon mein hai kal phir sunayenge zara si reh gayi hai raat afsaane bahut se hain likhi hai khaak udani hi agar apne muqaddar mein tere kooche pe kya maukoof veerane bahut se hain tumhein kisne bulaaya mehkashon se ye na keh saaki tabiyat mil rahi hai warna maikhaane bahut se hain banaaye tere hi hain ajnabi nadaariyan mujhko teri mehfil mein warna jaane pehchaane bahut se hain ...