Iss shan e karam ka kya kehna
Nawaazta hai jo sab ko wo dil nawaaz hai tu Niyaz mand hain sab aur beniyaz hai tu Zamane bhar ke banata hai bigre kaam Kareem saare zamane ka kaarsaaz hai tu Iss shane karam ka kya kehna Dar pe Jo sawali aate hain Ik teri kareemi ka sadka Wo mann ki muraadein paate hain Khaali na rahi rehmat se teri Dukh dard ke maaron ki jholi Kya tera karam hai dar pe tere Bharti hai hazaron ki jholi Mushqil ko tu aasan bana deta hai Har un chahe ummeed jaga deta hai Taqdeer se ho jaye Jo bhai juda Us bhai ko tu bhai se mila deta hai Din raat hai mangton ka phera Kya khoob sakhi hai dar tera Milti hai karam ki bheekh unhein Daman Jo yahan phailate hain Iss dar sakhawat kya kahiye Pakke rishte teri rehmat se Jo bann jaate hain Kachche dhage se bandhe log chale aate hain Tu mila deta hai bichchde hue insanon ko Tere andaze karam shaan ye dekhate hain Is dar ki sakhawat kya kahiye Khali na gaya mangta koi Muhtaj yahan Jo aate hain Wo jholiyan bhar ke jaate hain