Posts

Showing posts with the label main mangti daata ki lyrics

main mangti daata ki

kyun maangun main har har se main mangti daata ki meri jholi bhari hai is dar se main mangti daata ki aan khadi hai dar par daasi aaj na rakhiyo daata pyaasi chaahe qatra hi de saagar se main mangti daata ki daata piya ki hun main goli bharkar jaaungi main jholi sakhi hajveri ke dar se main mangti daata ki daata karam ki kar do najariya tori ik nazar ki baat hai mori zindagi ka sawaal hai bhool bhool ki bhhol bhayi bhala main bhooli kab tohe main bhooli to bhool bhayi par tum mat bhuliyo mohe itt utt bhatkat umar gawayi sukh ka dekh na rasta dikhayi bipta ki maari tore charnon mein aayi ab taaloge to bhi na talungi more augun pe tum nigah na karo tum apne kiye ka nibah karo main buri hoon bhali hoon tihaari hoon more daata mujh pe daya karo daata karam ki kar do najariya tori rahe aabaad nagariya tal jaaye musibat sar se main mangti daata ki itna karam farmaao daata tumhare ho ishq ka dagh dil par karam teri bakshishon ata ki karam ki tauheen