Posts

Showing posts with the label ghazal e peer naseer

jaanaana chaahiye dar e jaanaana chaahiye

kaabe ka shauq hai na sanam-khaana chaahiye jaanaana chaahiye dar e jaanaana chaahiye saagar ki arzoo hai na paimaana chaahiye bas ik nigah e murshid e maikhaana chaahiye  jab tak mile na dast e karam se karam ki bheekh darwaaza e kareem se jaana na chaahiye aankhon mein dam ruka hai kisi ke liye zaroor warna mareez e hijr ko marr jaana chaahiye 'Bedam' namaaz e ishq yahi hai khuda gawah har dam tasawwur e rukh e jaanaana chaahiye aur waada andheri raat mein aane ka tha qamar ab chaand chchup gaya unhein aa jaana chaahiye

Agar furqat ke sadme kam na honge

agar furqat ke sadme kam na honge kisi din dekh lena ham na honge jo darr jayein ajal ka naam sun kar wo koi aur honge ham na honge tera kamat uthayega jo fitne qayamat se wo fitne kam na honge charaag aahon ka sehme gulsitaan mein bahaarein hongi lekin ham na honge jo hain waabasta e dargah e jeelan 'Naseer' unke kahin sar kham na honge