maine dekha use ibtida ho gayi
maine masoom bahaaron mein tumhein dekha hai maine purnoor sitaaron mein tumhein dekha hai mere mehboob teri pardanasheeni ki kasam maine ashqon ki kataaron mein tumhein dekha hai shab e gham ki sahar nahi hoti ho bhi toh mere ghar nahi hoti zindagi tu hi mukhtasar ho ja shab e gham mukhtasar nahi hoti sheeraaza e hayaat pareeshaan ho gaya yeh marhala bhi khair se aasaan ho gaya mere sukoon e dil ko toh hona hi tabah unki bhi ik nigah ka nuksaan ho gaya maine dekha use ibtida ho gayi usne dekha mujhe inteha ho gayi yeh kis nazaron se usne aaj dekha yeh uska dekhna dekha na jaaye aisi mili hai apni nazar us nazar ke saath sab chhorne padhe hain mujhe umr bhar ke saath bewafayi toh ki tune aye bewafa jaane duniya yeh kyun bewafa ho gayi hum ibaadat mein rasmon ke qaayil nahi tujhko dekha toh yaad e khuda ho gayi tujhko kya is se koi jiye ya marre rooth jaana toh teri ada ho gayi tum ruke nabz e hasti ka dam ruk gaya tum chale toh qayaamat bapa ho gayi ...