ankh se ankh milao toh koi baat bane
aaj roothe hue saajan ko bahut yaad kiya apne ujde hue gulshan ko bahut yaad kiya jab kabhi gardish e takdeer ne ghera hai hamein gesu e yaar ki uljhan ko bahut yaad kiya aaj toote hue sapnon ki bahut yaad aayi aaj beete hue saawan ko bahut yaad kiya hamein nazron se peena aa gaya hai kinare par safeena aa gaya hai ankh se ankh milao toh koi baat bane rukh se zulfon ko hatao toh koi baat bane teer chchup chchup ke chalaane se bhala kya haasil bejhijhak saamne aao toh koi baat bane ab toh aa jao bakhuda gair koi pass nahi wo toor hi tha jo jal gaya tha wo kaleem hi the jo gir pade the zamaane bhar ko soorat dikhayi jaati hai hamaare naam pe chilman girayi jaati hai musa nahi hoon main mujhe taab e nazar bhi hai zara jalwa tumhara jab nazar nahi aata mujhe jee chahta hai aag laga loon nazar ko main wo aur the jo mashhoor hue barke jamaal se surma ankhon mein lagaane se nahi hota shingaar mehndi mein lagao toh koi baat bane jaam bhar bhar ke toh ham...