Posts

Showing posts with the label nazim hun lyrics

naazim hun dil se khauf e qayaamat nikaal do

teri sana ke khuda banda lazayaal hai tu yahi misaal hai teri ke bemisaal hai tu tera kamaal hi duniya ke har kamaal mein hai yeh shaan teri ke har shaan mein kamaal hai tu behadd ne ajab kaam kiya hadd kar di gunjaaish e tankeed sabhi radd kar di khud to parde mein rahe khud ko dikhaane ke liye phir saamne tasveer e muhammad kar di muhammad mustafa mukhtaar e kul hain meri sarkar hi sardar e kul hain muhammad baadshah e har do aalam muhammad sayyid e abraar kul hain ye lutf yeh tumhara karam bemisaal hai ik ik gunahgaar ka tumko khayaal hai ho mere haal pe bhi nigah e karam nawaaz sarkar ik nigah e karam ka sawaal hai naazim hun dil se khauf e qayaamat nikaal do saaya gunahgaar pe kamli ka daal do dil e betaab ko seene se laga le aaja raah mein chhor gaye thaamne waale aaja roosiyakaar mere aib khule jaate hain kamli wale mujhe kamli mein chhupa le aaja