Posts

Showing posts with the label dil tarapne lage hosh udne lage lyrics

dil tadapne lage hosh udne lage

lazzat e intezaar leta hoon yun shabe gham guzaar leta hoon jab bhi das ti hai mujh ko tanhayi naam tera pukaar leta hoon yun ti kehne ko husn e kaafir ki har ada dil nasheen hoti hai unke pehlu mein dil nahi hota jinki soorat haseen hoti hai apne gham ko na mujhse chcheen aye dost meri duniya udaas rehne de aur iska kahan thikaana hai isko mere hi pass rehne de kabhi kabhi toh vo is tarah yaad aate hain phir iske baad har shai koo bhool jaate hain nigah e naaz bhi kya cheez hai khuda ki kasam nazar ke saath zamaane badalte jaate hain dil tadapne lage hosh udne lage tu jo mehfil mein aye mehjabeen aa gaya main qayamat ka pehle to kaayil na tha tumko dekha to mujhko yakeen aa gaya maine chaaha na ho fash raaz e wafa kya karun main mera bas na kuch chal saka mere ashqon ne mera bharam dho diya tazkara aapka jab kahin aa gaya waada karke shab e wasl aaye na tum maine mana ke majboor the tum magar jhoothi kasamein uthaane se kya faayda keh diya maine mujhko yakeen aa