Posts

Showing posts with the label kaabe ka shauq hai na sanam-khaana chaahiye

jaanaana chaahiye dar e jaanaana chaahiye

kaabe ka shauq hai na sanam-khaana chaahiye jaanaana chaahiye dar e jaanaana chaahiye saagar ki arzoo hai na paimaana chaahiye bas ik nigah e murshid e maikhaana chaahiye  jab tak mile na dast e karam se karam ki bheekh darwaaza e kareem se jaana na chaahiye aankhon mein dam ruka hai kisi ke liye zaroor warna mareez e hijr ko marr jaana chaahiye 'Bedam' namaaz e ishq yahi hai khuda gawah har dam tasawwur e rukh e jaanaana chaahiye aur waada andheri raat mein aane ka tha qamar ab chaand chchup gaya unhein aa jaana chaahiye