mei zeest pur musarrat
mei zeest pur musarrat kabhi thi na hai na hogi koi behtareen soorat kabhi thi na hai na hogi mujhe husn ne sataaya mujhe ishq ne mitaaya kisi aur ki yeh haalat kabhi thi na hai na hogi main yeh jaante hue bhi teri anjuman mein aaya ke tujhe meri zaroorat kabhi thi na hai na hogi jo gila kiya hai tumse to samajh ke tumko apna mujhe gair se shikaayat kabhi thi na hai na hogi yeh karam hai doston ka jo woh keh rahe hain sabse ke 'Naseer' par inaayat kabhi thi na hai na hogi