Posts

Showing posts with the label vinti suno mori karu main pranaam lyrics

binti suno mori karun main parnam

dar e fareed pe khairaat paane aaye hain ham apna bigda mukaddar banaane aaye hain jabeen e shauk ke sajde lutaane aaye hain niyaazmand tere sar jhukaane aaye hain gham e jahaan ke fasaane sunaane aaye hain tumhaare faiz ki khairaat paane aaye hain muhabbaton ke baraste hain aankh se moti aqeedaton ke khazaane lutaane aaye hain idhar bhi chashme inaayat hi mere ganj e shakar ghareeb apna mukaddar banaane aaye hain is aastaan ki bulandi ka haal kya kahiye ke sar buland jahaan sar jhukaane aaye hain sayiyaan nagar ki poochhat mohe kaun tiharo var hai laaj ki maari keh na sakun main var mora ganj e shakar hai binti suno mori karun main parnam laaj raakho baba banaado more kaam karam karo baba bhaag jagaao mujh dukhiyan ko janam lagaawo akal se tore sang pal tan hua hai main jogan hoon teri tu mora piya hai ek nazar ki baat hai baba laaj tumhare haath hai baba main joganiya tihari kehlaati hun llaaj tihare haath hai baba kitni pyari raat hai baba teri saji