Posts

Showing posts with the label ghazal e sagir siddiqui

eid ka chaand

chaake daaman ko jo dekha to mila eid ka chaand apni tasveer kahan bhool gaya eid ka chaand jaane kyun aapke rukhsaar mehak uthte hain jab kabhi kaan mein chupke se kaha eid ka chaand door veeran basere mein piya ho jaise gham ki deewar se dekha toh laga eid ka chaand talkhiyan badh gayi jab zeest ke paimane mein ghol kar dard ke maaron ne piya eid ka chaand chashm to busat e aflak mein khoyi 'Sagir' dil ne ek aur jagah dhoondh liya eid ka chaand