Posts

Showing posts with the label tum ik gorak danda ho lyrics

tum ik gorakh dhandha ho

kabhi yahan tumhein dhoondha kabhi wahan pahuncha tumhari deed ki khaatir kahan kahan pahuncha ghareeb mitt gaye paamaal ho gaye lekin kisi talak na tera aaj tak nishan pahuncha ho bhi nahin aur har jaa ho tum ik gorakh dhandha ho har zarre mein kis shaan se tu jalwa numa hai hairaan hai lekin aql ke kaisa hai tu kya hai tujhe dair o haram mein maine dhoondha tu nahin milta magar tashreef farma tujhko apne dil mein dekha hai dhondhe nahi mile ho na dhoondhe se kahin tum aur phir ye tamaasha hai jahan ham hain wahin tum jab bajuz tere koi doosra maujood nahin phir samajh mein nahi aata tera parda karna haram o dair mein hai jalwa e purfan tera do gharon ka hai chirag ik rukh e roshan tera jo ulfat mein tumhari kho gaya hai ussi khoye hue ko kuch mila hai na butkhaane na qaabe mein mila hai magar toote hue dil mein mila hai adam bann kar kahin tu chchup gaya hai kahin tu hast bann kar aa gaya hai nahin hai tu toh phir inkaar kaisa nafi bhi tere hone ka pata