Khazane rehmat ke bat rahe hain
Konain ka masjood hai mabood hai tu Har shai teri shahid hai ki mashoor hai tu Har ek ke lab par hai teri hamd o sana Har saaz mein har souz mein maujood hai tu Tazeem se leta hai khuda naam e Muhammad Kya naam hai e salle Allah naam e Muhammad Allah kare uspe haram aatishe do zakh Jis shakhs ke ho dil pe Likha naam e Muhammad Jis dil mein Muhammad ki mohabbat nahi hoti Us par kabhi Allah ki rehmat nahi hoti Mera ye aqeeda hai agar zikr e khuda mein Ye naam na shamil ho ibadat nahi hoti Main jaun aur kahin kyun kahin sada ke liye Dar e rasool hi kafi hai mujh gada ke liye Khazane rehmat ke bat rahe hain Nabi hamara bada sakhi hai Aata hai fakiron pe unhe pyar kuch Aisa Khud bheekh de Aur khud kahe mangton ka bhala ho Ye darbar e Muhammad hai yahan milta hai bin mange Arre nadaan yahan pe haath phailaya nahi karte Mere aaka ka ye andaz taraham dekho Bheekh ke saath fakiron ko dua dete hain Jab sawali dar e daulat pe sada dete hain Mere aaka unhe ...