main nazar se pee raha hun
nazar se nazar ab milaayi gayi hai main peeta nahi tha pilaayi gayi hai main nazar se pee raha hun yeh sama badal na jaaye teri nazron se pee hai khuda ki kasam umar saari nashe mein guzar jaayegi peene ki aarzoo na pilaane ki aarzoo hai tumse faqat nigah milaane ki aarzoo hai meri badanoshi ke waaste koikais e jaam o subu nahi mujhe kaif rehta hai har ghadi yeh teri nigah ki baat hai wo nazar uthi toh maikhaane bane mera dil toota toh paimaane bane mudaaton se aarzoo thi hosh ki hosh aaya toh deewane bane tere karam ka bhala kya shumaar hai saaki jise bhi dekha wohi mehve khumaar hai saaki wo badanosh hoon mauka hayat kya jiski teri nazar pe hi daromdaar hai saaki wo kaun hai jo tere maikade se bach nikla teri nazar ka toh aalam shikar hai saaki na jhukaao tum nigahein kahin raat dhal na jaaye jhuki jhuki si nigahon ne zulf e barham ne wo baat khol ki rakh di jo thi chhupaane ki yeh udi udi si rangat yeh khule khule se gesu teri subah keh rahi hai ...