Posts

Showing posts with the label yeh toone aj kya nigah e yar kar diya lyrics

ye tune aaj kya nigahe yaar kar diya

wo taalluk na rakhega kabhi maikhane se jisne pi li ho tere ankh ke paimane se kya tamasha hai teri zulf bikhar jaane se hosh waaale bhi nazar aate hain deewane se sajde kyun kar na karun dar pe sanamkhaane ke jaagti hai teri tasvir sanamkhaane se ye tune aaj kya nigahe yaar kar diya aisi pilayi aaj ke sarshaar kar diya na khabar apni hai na aalam ki aisi pilayi apni nazar se saaki ne maste nargise mastaana kar diya aisi pilayi aaj ke deewana kar diya nazar mila ke kaha mujhse mere saaki ne haraam kehte hai jisko yeh wo sharaab nahi kar rahi dar haqeeqat kaam saaki ki nazar maikade mein gardish e saagar paraye naam hai ashqon ne kya gazab gham e deedar kar liya jee bhar ke dekhna hamein dushwaar kar diya imaan o deen o zauhad garaz jo tha hamare pass sab kuch nisaar e abroo e khamdaar kar diya ik tashna lab ne yoon bhi diya imtehan e ishq qurban raza e yaar par ghar baar kar diya khuda waale khuda ko iss tarah se yaad karte hain gale pe teg lab pe shu