allah ne kaisa shah e zeeshan banaya
meri chashm e alam namnaak karde mujhe alaishon se paak karde mujhe kuch bhi nahi darkar ya rab ghulam e sayyid e laulak karde na rukh dayar e haram se badal nahi sakte khayal dil ye nabi ka nikal nahi sakta dar e huzur se hargiz main tal nahi sakta fakir e gair ke tukdon pe pal nahi sakta jise ishq e nabi haasil nahi hai manabbar us bashar ka dil nahi hai na ho jisme shah e bat-ha ki ulfat kasam allah ki wo dil nahi hai ye misl hai kya shauk tera nayi hai khaaliq bhi fida khalq bhi shaidayi hai khaaliq ne muhabbat mein nirale rukh se sarkar ke chehre ki kasam khayi hai allah ne kaisa shah e zeeshan banaya surat ko unki dekh ke muh se kuch na nikla nikla toh ye nikla allah ne kaisa shah e zeeshan banaya udhar usne rehmat se parda uthaya idhar shayaron ne kalam tod daale beparda hua jab rukh e daman e muhammad khurshid ne muh dhamp liya sharm ke maare allah ne kaisa shah e zeeshan banaya sarkar ko konain ka sultan banaya ishq e shah e bat-ha ko dil o c...