chalo dayarein nabi ki janib
bigri hui banti hai har baat madine mein ghamkhaar muhammad ki hai zaat madine mein chalo dayarein nabi ki janib durood lab pe saja sajaakar bahar lootenge hum karam ki dilon ko daaman bana banaakar do jahaan ka bharam madine mein hai karam hi karam madine mein sar ke sajde to sue kaaba hain hai dilon ka haram madine mein khatam hote hain ek hi pal mein saare dard o alam madine mein haar ashqon phool zakhmon ke leke jayenge ham madine mein sab jahaanon ki likhte hain kismat shahe e lauh o kalam madine mein meri sayim yahi tamanna hai bas nikal jaye dam madine mein kaif o tadap ko aur badhate chale chalo dil mein chirag e ishq ko jalate chale chalo jaate ho bheekh lee dar e tajdar par soorat misailon ki banate chale chalo us tajdar e husn ki tazeem ke liye aankhon ko farsh e raah banate chale chalo na unke jaisa sakhi hai koi na unke jaisa ghani hai koi wo benawaon ko har jagah se nawaazte hain bula bulaakar main wo bikhari hoon jiski jholi mein koi husn ...