bazm e jahaan machal gayi
bazm e jahaan machal gayi chaand ka dil hila diya shayad kisi kaseen ne rukh se naqaab utha liya aaya jo mere saamne bann sanwar ke woh sanam bann gaye butparast hum deen o imaan luta diya haq parasti mein kabhi dil ka sahaara na hua but parasti ke siwa haq ka nazaara na hua dil mein haq jalwa numa tha mujhe maloom na tha main na tha khud hi khuda tha mujhe maloom na tha gair haq jaan ke but ko na kiya tha sajda tu aye but sajda rawa tha mujhko maloom na tha kaafir e ishq hue ham toh sanaa bhool gaye na wo but yaad raha naam e khuda bhool gaye besoorati hai soorat soorat parast ho ja hai khaas haqparasti tu butparast ho ja aisa hashar bapa diya us but e husn e naaz ne zulf e do taar sanwaar kar kaafir mujhe bana diya aye gham e yaar shukriya jab se hua hai tu ata mere rafaqt o raaz ka naam o nishan mita diya kab tha sakoon e dil mujhe kab tha shaoor e bandagi lekin kisi ki yaad ne jeena mujhe sikha diya