wo hata rahe hain parda sarre baam chupke chupke
wo hata rahe hain parda sarre baam chupke chupke main nazaara kar raha hoon sarre shaam chupke chupke ye jhuki jhuki nigahein ye haseen haseen ishaare mujhe de rahe hain shayad wo payaam chupke chupke na dikhao chalte chalte yun kadam kadam pe shokhi koi qatl ho raha hai sarre aam chupke chupke kabhi shokhiyan dikhaana kabhi unka muskuraana ye adaayein kar na daalein mera kaam chupke chupke ye adaayein beniyazi tujhe bewafa mubarik magar aisi berukhi kya ke salaam tak na pahunche zara hoshiyar ae dil kahin dhaa na de qayaamat us ada e kafiri ka de salaam chupke chupke tere maikade mein saaki mera raaz khul na jaaye wo ata rahe nawaazish mujhe jaam chupke chupke ye jo hichkiyan musalsal mujhe aa rahin hain 'Aaalam' koi le raha hai shayad mera naam chupke chupke