haqiqat ka agar afsaana ban jaaye
haqiqat ka agar afsaana ban jaaye to kya kije gale milke bhi wo begaana ban jaye to kya kije hamein sau baar tarq e maikashi manzoor hai lekin nazar uski agar maikhaana ban jaye to kya kije nazar aata hai sajde main jo aksar sheikh sahib ko wo jalwa jalwa e jaanaana ban jaaye to kya kije bada dukh shamma ko hai ek parwane ke jalne se jo saari bazm hi parwana ban jaaye to kya kije tere milne se jo mujhko hamesha mana karta hai agar wo bhi tera deewana ban jaaye to kya kije khuda ka ghar samajh rakha hai hamne jis dil ko 'Qateel' iss mein bhi ik butkhaana ban jaaye to kya kije