aankh uthi muhabbat ne angrayi li
tanhayi mein fariyaad to kar sakta hoon veerane ko aabaad to kar sakta hoon jab chaahun tumhein mil nahi sakta lekin jab chaahun tumhein yaad to kar sakta hoon achchi soorat ko sanwarne ki zaroorat kya hai saadgi mein bhi qayaamat ki ada hoti hai tum jo aa jaate ho masjid mein ada karne namaaz tumko maloom hai kitnon ki kaza hoti hai maine maasoom baharon mein tumhein dekha hai maine purnoor sitaaron mein tumhein dekha hai mere mehboob teri parda nasheeni ki kasam maine ashqon ki qataaron mein tumhein dekha hai aaj ki baat phir nahi hogi yeh mulaakaat phir nahi hogi aise baadal to phir bhi aayenge aisi barsaat phir nahi hogi raat unko bhi yun hua mehsoos jaise yeh raat phir nahi hogi ik nazar mud ke dekhne waale kya yeh khairaat phir nahi hogi chaandni raat yaad aati hai woh mulaakaat yaad aati hai dekh ke un ghaneri zulfon ko mast barsaat yaad aati hai aankh uthi muhabbat ne angrayi li dil ka sauda hua chaandni raat mein unki nazaron ne kuch aisa jaadu