mere makhdoom saabir ki kya shaan hai
jalwa dikhado saabiri makhdoom saabir kaliyari ho jaaye hajj e akbari makhdoom saabir kaliyari mere makhdoom saabir ki kya shaan hai jo gada unka dekha woh sultan hai unki zulfein hain ya noor ki badliyaan unka rukh hai ya tafseer e quran hai yeh haqeeqat ma as saabiri se khuli jalwagar aap kaliyar mein rehman hai is mein us mein tujh mein mujh mein tu hi jalwagar hai tu hi tu hi na duja koi pargat bhayo muhammad hor jo dekha so tujhi ko dekha bhikha gur ka ant na lekha dehli mein ajmer mein paak pattan mein kaliyar mein tu hi jalwagar hai zaahir tu hai toh main niha hoon baatin tu hai toh main aya hoon tu hi zaahir tu hi baatin tu hi tu hai toh main kahan hoon kabhi ajmer mein kabhi dehli mein kabhi paak pattan mein kabhi kaliyar mein tujh ko hi hamne ja baja dekha kahin zaahir kahin chhupa dekha kahin kaasa liye gada dekha kahin wo baadshah e takhtnasheen apni mazhaat e kaabil banaaya mujhe mujhpe sarkar e kaliyar ka ehsaan hai yun toh sab ...