ab kitni haseen meri ibaadat ki ghari hai
kam se kam ishq mein laazim hai ke itna kar lun tujhko poojun tujhe chaahun tujhe sajda kar lun yun bazm e zindagi mein ujaala karenge hum tujhko bithaake sajda karenge hum ab kitni haseen meri ibaadat ki ghari hai sang e dar e mehboob se takdeer lari hai aye jaan e jahaan gauhar e maqsood ata kar parda chehre se hata deed ka sauga kar de apne jalwon se hi kaafir ko musalmaan kar de main tere dar pe yeh umeed liye baitha hoon aye sanam aaj mukammal mera imaan kar de aye jaan e jahaan gauhar e maqsood ata kar sahil ki sada sun teri sarkaar badi hai uthunga na ab dar se tere jaan e tamanna qaidi hun tera paaon mein zanjeer jadi hai begaana hua baitha hoon duniya ki talab se shaida hoon tera meri nazar tujhse lari hai bakshi hai tere ishq ne kya shaan niraali duniya tere deewane ke kadmon mein padi hai aasin hun fana saare zamaane se bura hoon lekin meri sarkaar ki rehmat toh badi hai