Posts

Showing posts with the label na to butkade ki talab mujhe na haram ke dar ki talaash hai lyrics

na to butkade ki talab mujhe

raazdaaron se bach ke chalta hoon gham gusaaron se bach ke chalta hoon mujhko dhokha diya sahaaron ne ab sahaaron se bach ke chalta hoon shab e gham ki sahar nahi hoti ho bhi toh mere ghar nahi hoti zindagi tu hi mukhtasar ho ja shab e gham mukhtasar nahi hoti maine masoom bahaaron mein tumhe dekha hai maine purnoor sitaaron mein tumhe dekha hai mere mehboob teri pardanasheeni ki kasam maine ashqon ki qataron mein tumhe dekha hai but bhin ismein rehte the dil yaar ka bhi kashaana tha ek taraf qaabe ke jalwe ek taraf butkhaana tha na to butkade ki talab mujhe na haram ke dar ki talaash hai kahaan lut gaya hai sukoon e dil ussi raahguzar ki talaash hai tu haram mein jisko hai dhoondhta mujhe butkade mein wo mil gaya tujhe kya malaal hai zaahida ye nazar nazar ki talaash hai mujh sab qabool falak magar gham e dost mujhse talab na kar isse kaise dil se juda karoon meri umr bhar ki talaash hai aye tabeeb chchor yun hi mujhe main mareez e ishq hoon la dawa ishq