unke dar pe pahunchne to paayein
khizan ke daur mein ehde bahar leta hoon gham e hayat ko has ke guzaar leta hoon gulon se rang sitaaron se roshni lekar jamaal e yaar ka naksha utaar leta hoon ye jo deewane se do chaar nazar aate hain inmein kuch saahib e asraar nazar aate hain teri mehfil ka bharam rakhte hain so jaate hain warna yeh log toh bedaar nazar aate hain mere daaman mein toh kaanton ke siwa kuch bhi nahin aap phoolon ke khareeddaar nazar aate hain hashar mein kaun gawahi meri dega saagir sab tumhare hi tarafdaar nazar aate hain uske nazdeek gham e tarq e wafa kuch bhi nahi mutmayin aise hai wo jaise hua kuch bhi nahi ab toh haathon se bhi lakeerein miti jaati hain usko khokar toh mere pass raha kuch bhi nahi kal bichadna hai toh phir ehde wafa soch ke baandh abhi aagaz e muhabbat hai gaya kuch bhi nahi main toh iss waaste chup hun ke tamasha na bane tu samjhta hai muijhe tujhse gila kuch bhi nahi aye shumaar ankhein iss tarah bichchaye rakhna jaane kis waqt wo aa jaaye pata kuch bh...