aag daman mein lag jayegi
jaam mein jaam ka shabaab ho tum main sharaabi hoon aur sharaab ho tum chaand tumko salaam kyun na kare chaandni raat ka jawaab ho tum tum ko padh ke har ik sabak bhoola wo kahaani ho wo kitaab ho tum dil hamaara uda liya tumne apne maksad mein kaamyab ho tum aag daaman mein lag jayegi dil mein shola machal jayega mera saagar na chchoona kabhi saakiya haath jal jayega mere ashq bhi hain isme ye sharaab ubal na jaye mera jaam chchoone wale tera haath jal na jaye sakiya ek jaam peene se jannatein ladkhada ke milti hain laala o gul kalaam karte hain rehmatein muskura ke milti hain aap ke waaste gunah sahi hum piye to sawaab banti hai sau ghamon ko nichodne ke baad ek qatra sharaab banti hai ek din wo zuroor aayenge dard ka saaya dhal jayega iss zamaane ki parwah nahi ye zamaana badal jayega aa gaya meri aankhon mein gham ab to jalwa dikha dijiye aapki baat reh jayegi mera armaan jal jayega maikashon us nazar ki suno keh rahi hai wo shola badan mai nahi jaam...