aafreen aafreen
husn e jaana ki tareef mumkin nahin aafreen aafreen aafreen aafreen tu bhi dekhe agar to kahe hamnasheen aafreen aafreen aafreen aafreen aisa dekha nahin khoobsoorat koi jism jaise ajanta ki moorat koi jism jaise nigahon pe jadu koi jism nagma koi jism khushboo koi jism jaise machalti hui raagini jism jaise mehakti hui chaandni jism jaise ke khilta hua ek chaman jism jaise ke sooraj ki pehli kiran jism tarsha hua dilkash o dilnasheen sandalin sandalin marmarin marmarin aafreen aafreen aafreen aafreen chehra ek phool ki tarah shaadab hai chehra uska hai ya koi mehtaab hai chehra jaise ghazal chehra jaan e ghazal chehra jaise kali chehra jaise janwal chehra jaise tasawwur ki tasveer bhi chehra ik khwaab bhi chehra tabeer bhi chehra koi alif lail ki daastaan chehra ik pal yakeen chehra ik pal ghumaan chehra jaise ke jaisa kahin bhi nahin maahru maahru mehjabeen mehjabeen aafreen aafreen aafreen aafreen aankhein dekhin to main dekhta reh gaya jaam do aur dono...