Posts

Showing posts with the label kalam e iqbal

shikwa

kyun ziyaankaar banun sood faraamosh rahun fikr e farda na karun mehwe gham e dosh rahun naale bulbul ke sunoon aur hamatan gosh rahun hamnawa main bhi koi gul hoon ke khaamosh rahun jurrat aamoz miri taab e sukhan hai mujhko shikwa allah se khaakam badaahan hai mujhko hai baja shewa e tasleem mein mashoor hain ham kissa e dard sunaate hain ke majboor hain ham saaz e khaamosh hain fariyaad se maamoor hain ham naala aata hai agar lab pe to mazoor hain ham aye khuda shikwa e arbaabe e wafa bhi sun le khugar e hamd se thoda sa gila bhi sun le thi toh maujood azal se hi teri zaat e kadeem phool tha zaib e chaman par na pareeshan thi shameem sharat insaaf hai aye sahib e altaaf e ameem boo e gul phailti kis tarah jo hoti na naseem humko jameeyat e khaatir yeh pareshaani thi warna ummat tere mehboob ki deewani thi humse pehle tha ajab tere jahaan ka manzar kahin masjood the patthar kahin maabood shajar khugar e paikar e mehsoos thi insaan ki nazar maanta phir

khudi ka sirre nihan la illah ilallah

ki haq se farishton ne iqbal ki ghammazi gustakh hai karta hai fitrat ki hinabandi khaaki hai magar iske andaz hain aflaaki rumi hai na shaami hai kashi na samarkandi sikhlayi farishton ko aadam ki tadao isne aadam ko sikhaata hai aadab e khuda bandi khudi ki jalwaton mein qibriyayi khudi ki khalwaton mein mustafayi zmeen o aasmaan o arsh o kursi khudi ki zad mein hai saari khudayi khudi ka sirre nihan la illah ilallah khudi hai teg fasan la illah ilallah ye daur apne barahim ke talaash mein hai sanam kada hai jahaan la illah ilallah kiya hai tune mata e guroor ka sauda fareb e sood o ziyan la illah ilallah ye maal o daulat e duniya ye rishta o paiwand butan e weham o ghuman la illah ilallah agar che but hain jama-at ki aastinon mein mujhe hai hukm e azaan la illah ilallah ye nagma fasl e gul o lala ka nahi paaband bahaar ho ke khizan la illah ilallah ilm ka maujood aur aur fakhr ka maujood aur ash had o allahelah ash had o allahelah nai takht o taaj m

na tu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye

na tu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye jahaan hai tere liye tu nahi jahaan ke liye ye aql o dil hai sharar shola e muhabbat ke wo khaar o khas ke liye hai ye neestan ke liye malaam e parwarish e aah o nala hai ye chaman na sair e gul ke liye hai na aashiyan ke liye nigah buland sakhun dil nawaaz jaan pursouz yehi hai rakht e safar meer e kaarwaan ke liye mere gulu mein hai ik nagma jibraeel aashob sambhaal kar jise rakha hai lamakaan ke liye

kabhi ae haqeeqat e muntazar

kabhi ae haqeeqat e muntazar nazar aa libaas e majaaz mein ke hazaaron sajde tadap rahe hain meri jabeen e niyaaz mein jo main sar ba sajda hua kabhi toh zameen se aane lagi sadaa tera dil toh hai sanam aashna tujhe kya milega namaaz mein tu bacha bacha ke na rakh isse tera aaeena hai wo aaeena ke shikasta ho to azeez kar hai nigahe aaeena saaz mein na kaheen jahaan mein awaan mili jo awaan mili toh kahaan mili mere jurm e khana kharaab ko tere afw banda nawaaz mein na woh ishq mein rahi garmiyan na woh husn mein rahi shokhiyan na wo ghaznavi mein tadap rahi na woh kham hai zulf e ayaz mein