Posts

Showing posts with the label ub ke tajdeed e vafaa lyrics

ab ke tajdeed e wafa ka nahi imkaan jaana

udaasiyan jo na laate to aur kya karte chashme shola manaate toh aur kya karte andhera mangne aaya tha roshni ki bheekh ham aona ghar na jalaate toh aur kya karte ab ke tajdeed e wafa ka nahi imkaan jaana yaad kya tujhko dilayein tera paimaan jaana yun hi mausam ki ada dekh ke yaad aata hai kis kadar jald badal jaate hain insaan jaana zindagi teri ata thi so tere naam ki hai hamne jaise bhi basar ki tera ehsaan jaana dil yeh kehta hai ke shayad ho afsurda tu bhi dil ki kya baat karein dil toh hai nadaan jaana awwal awwal ki muhabbat ke nashe yaad toh kar be-piye bhi tera chehra tha gulistaan jaana muddaton se yahi aalam raha tawakko na hui dil pukaare hi chala jaata hai jaana jaana ab tera zikr hi shayad hi ghazal mein aaye aur the aur hue dard ke unwaan jaana