yeh tere ghulaamon ke waaste badi baat baba fareed hai
shohra jahaan mein aam hai baba fareed ka har lab pe aaj naam hai baba fareed ka bigde hue naseeb sawar jayenge abhi bigdi banaana kaam hai baba fareed ka sabir ko ik nigah mein sabir bana diya kitna bada makaam hai baba fareed ka inki yaadon ka hai yeh faiz barabar dekho main fakeeri mein bhi hoon kitna tawangar dekho besabab paal rahe hain mere baba mujhko dekhne waalon zara mera mukaddar dekho dar e fareed pe khairaat paane aaye hain ham apna bigda mukaddar banaane aaye hain yeh tere ghulaamon ke waaste badi baat baba fareed hai tere dar ki kar li ziyaarat yahi gham ke maaron ki eid hai ilahi taab abad aastaan e yaar rahe yeh aastaan hai ghareebon ka aabaad rahe tu jamaal e khwaja e khaajgaan tu kareem baba fareed hai tere dar se bharti hain jholiyan tere dar pe mangton ki eid hai jo bhi dar pe saayil aata mann ki muraadein sab hai paata main bhi aap ka hun kehlaata bheekh mujhe bhi de de baba jise inke dar se sanad mili bakhuda usi ki hai bandagi usse h...