Posts

Showing posts with the label ulfat ka nishan dil se mitaya nahin jata lyrics

ulfat ka nishaan dil se mitaaya nahi jaata

tulu e subah tere rukh ki baat hone lagi tumhari zulf jo bikhri toh raat hone lagi tumhari mast nazar ka khumaar kya kehna nashe mein garq sabhi kayanaat hone lagi sar jispe na jhuk jaaye use dar nahi kehte har dar pe jo jhuk jaaye use sar nahi kehte kya tujhko jahaan waale sitamgar nahi kehte kehte toh hain lekin tere muh par nahi kehte kaabe mein har ik sajde ko kehte hain ibaadat maikhaane mein har ik jaam ko saagar nahi kehte kaabe mein musalmaan ko bhi keh dete hain kaafir maikhaane mein kaafir ko bhi kaafir nahi kehte achhi soorat ko sanwarne ki zaroorat ka kya hai saadgi mein bhi kayaamat ki ada hoti hai tum jo aate ho masjid mein ada karne namaaz tumko maaloom hai kitno ki kaza hoti hai ulfat ka nishaan dil se mitaaya nahi jaata us bhoolne waale ko bhulaaya nahi jaata sar gair ki chaukhat pe jhukaaya nahi jaata mujh se toh khuda aur banaaya nahi jaata ab umr judaayi mein tadap ke hi kategi roothe hain wo aise ki manaaya nahi jaata yeh kaisi muhabba