khudi ka sirre nihan la illah ilallah
ki haq se farishton ne iqbal ki ghammazi gustakh hai karta hai fitrat ki hinabandi khaaki hai magar iske andaz hain aflaaki rumi hai na shaami hai kashi na samarkandi sikhlayi farishton ko aadam ki tadao isne aadam ko sikhaata hai aadab e khuda bandi khudi ki jalwaton mein qibriyayi khudi ki khalwaton mein mustafayi zmeen o aasmaan o arsh o kursi khudi ki zad mein hai saari khudayi khudi ka sirre nihan la illah ilallah khudi hai teg fasan la illah ilallah ye daur apne barahim ke talaash mein hai sanam kada hai jahaan la illah ilallah kiya hai tune mata e guroor ka sauda fareb e sood o ziyan la illah ilallah ye maal o daulat e duniya ye rishta o paiwand butan e weham o ghuman la illah ilallah agar che but hain jama-at ki aastinon mein mujhe hai hukm e azaan la illah ilallah ye nagma fasl e gul o lala ka nahi paaband bahaar ho ke khizan la illah ilallah ilm ka maujood aur aur fakhr ka maujood aur ash had o allahelah ash had o allahelah nai takht o taaj m...