Posts

Showing posts with the label ghazal

tumhaare hi hone se aabad hai dil

shab e gham ki sahar nahi hoti ho bhi toh mere ghar nahi hoti zindagi tu hi mukhtasar ho ja shab e gham mukhtasar nahi hoti jod lagte gaye fasaane mein raaz khulte gaye chhupaane mein roothne ka sabab tum jaano ham to masroof hain manaane mein tune tinke samajh ke phoonk diya meri duniya thi aashiyaane mein muhabbat ki koi manzil nahi hai muhabbat maajil hai saahil nahi hai meri afsurdagi pe hasne waale tere pehlu mein shaayad dil nahi hai tumhara teer e nazar dil ke paar ho ke raha dil ne dam bhi na maarashikaar ho ke raha dil ki basti ajeeb basti hai roz ujadti hai roz basti hai tumhaare hi hone se aabad hai dil tumhi jab na hoge to veeran hoga tumhi se hai hasrat tumhi se hai armaan na has hasrat hi hoga na armaan hoga mera dil fida tumpe aur jaan qurbaan tumhi ho meri zindagani ka saaman tumhare hi jab kaam aayi ne yeh jaan toh phir jaan ka kya meri jaan hoga payaami jo dekha hai us se na kehna yeh bechainiyaan meri us se na kehna pareshaaniya