Posts

Showing posts with the label Mehshar Mein Mgfirat Ka Bouhat lyrics

mehshar mein maghfirat ka bada aasra mila

ham hain durvesh na jaageer na zar rakhte hain taaj rakhte hain na ham laal o gauhar rakhte hain sainkdo aib sahi ek hunar rakhte hain bekhabar laakh sahi teri khabar rakhte hain taazeem se leta hai khuda naam e muhammad kya naam hai ae salle ala naam e muhammad allah kare uspe haraam aatish e do zakh jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad buron ko apna kaha rehmat e do aalam ne bada haseen  hai muqaddar gunahgaaron ka mehshar mein maghfirat ka bada aasra mila ham bekason ko daaman e khair ul wara mila sajde hue qabool dayar e huzur mein ab yaqeenan mujhe meraj e muhabbat hogi sajde hue qabool dayar e huzur mein qaabe se badh ke humko dar e mustafa mila uske sar e niyaz ko meraj ho gayi sarkar e do jahaan ka jise naqsh e paa mila qadmon pe uske jhukte hain duniya ke taajwar shaahon se badh ke pyare nabi ka gada mila