Posts

Showing posts with the label ghazal e fana

tere darwaaze pe chilman nahi dekhi jaati

yeh kajravi na meri jaan ikhteyaar karo jo tumse pyar kare tum bhi usse pyar karo kaha jo maine dil beqaraar hai mera toh has ke kehne lage aur beqaraar karo dikhao jaam na bharkar main badakhuar nahi meri nazar ko nazar se gunahgaar karo mehak uthegi jawaani gulaab ki soorat haseen baahon ko mere gale ka haar karo mujhko tasleem main sharaabi hoon phir bhi fitrat ajeeb paayi hai main nazar se sharaab peeta hoon meri rindi bhi paarsaayi hai fikr e soodo ziyaan to chhutegi minnatein een o aan to chhutegi khair do zakh mein mai mile na mile sheikh sahib se jaan to chhutegi shikan na daal jabeen par sharaab dete hue yeh muskurati hui cheez muskura ke pila suroor cheez ke miqdaar par nahi maukoof sharaab kam hai toh saai nazar mila ke pila kuch murakke hain zindagani ke chand unwaan hain kahaani ke chandni zulf raqs sher sharaab mukhtalif naam hain jawaani ke sharaab e shauk ko masti mein laake pita hoon main masira ki nazar se chhupa ke pita hoon rakoon ...

kya tha jo ghari bhar ko tum laut ke aa jaate

kya tha jo ghari bhar ko tum laut ke aa jaate bemaar e muhabbat ko soorat toh dikha jaate qasid payam e khat ko dena bahut na tool bas mukhtasir yeh kehna aankhein taras gayin yun zindagi guzaar raha hoon tere bagair jaise koi gunah kiye jaa raha hoon main nazuk tere mareez ka haal hai din kat chuka hai raat ka katna muhaal hai aa jaa ke aas tootne waali hai pyar ki bhujne lagi hai shama tere intezaar ki itna toh karam karte kuch dard mujhe de kar tasawwur mein chale aate tumhara kya bigad jaata tera parda bana rehta mujhe deedar ho jaata jaati hui dekh ke mayyat dekh ke bhi wallah tum uth ke aa na sake do chaar kadam to dushman bhi takleef gawara karte hain dekh jaate mere lut te hue armaanon ko itna toh karam karte kuch dard mujhe de kar itna toh karam karte kuch dard mujhe de kar ik baar mere aansu daaman se sukha jaate lazzat e intezar leta hoon yun shab e gham guzar leta hoon jab bhi dasti hai mujhko tanhayi naam tere pukaar leta hoon phir d...

jab nazar se milayi maza aa gaya

mere rashq e qamar tune pehli nazar jab nazar se milayi maza aa gaya barq si gir gayi kaam hi kar gayi aag aisi lagayi maza aa gaya jaam mein ghol kar husn ki mastiyan chaandni muskuraayi maza aa gaya chand ke saaye mein aye mere saakiya tune aisi pilayi maza aa gaya nasha sheeshe mein angrayi lene laga bazm e rindan mein saagar khanakne laga maikade pe barasne lagin mastiyan jab ghata ghir ke chchayi maza aa gaya behijabana wo saamne aa gaye aur jawaani jawaani se takra gayi ankh unki ladi yun meri ankh se dekh kar ye ladayi maza aa gaya ankh mein thi haya har mulaakaat par surkh aariz hue husn ki baat par usne sharma ke mere sawaalaat pe aise gardan jhukayi maza aa gaya shaikh sahib ka imaan bik hi gaya dekh kar husn e saaki pighal hi gaya aaj se pehle ye kitne maghroor the lut gayi paar sayi maza aa gaya aye 'Fana' shukr hai aaj baade fana usne rakh li mere pyar ki aabroo apne haathon se usne meri qabr par chaadre gul chadayi maza aa gaya