Posts

Showing posts with the label tere dar pe main aaya hoon sultan lyrics

tere dar pe main aaya hoon sultan

raah mein jab koi dushwaar makaam aata hai jaane kyun lab pe mere aapka naam aata hai yeh tasarruf faqat ek baat par nahi hoti jisse nisbat ho wo har haal mein kaam aata hai na haram ki justju hai na khayal e butkada hai teri bandaparwari ne mujhe kya bana diya hai main yahin karunga sajde yahi mera mudda hai jo mila nahi haram se tere dar se wo mila hai tere dar pe main aaya hoon sultan mera tujh bin sahaara nahin hai tere deedar e rukh ke ilaawa meri dil mein tamanna nahi hai ab kahan jaaun aye dar e sultan tera dar chchor kar kisse mangun tere tukdon se palta raha hoon koi dar aur dekha nahi hai maine dekhe haseenon mein aalam koi tujhsa anokha nahi hai jabse dekhi hai soorat tumhari koi nazron mein jachta nahi hai ye bhi mazhar hain shan e nabi ke hai baharein madina yahan bhi dekh le mere sultan ka auda jisne taiba ko dekha nahi hai aaj bhar de inaayat se daaman de de shah e madina ka sadka pher na dar se sahil ko khali yeh kareemon ka shewa