tasawwur mein kisi ko jalwa farma kar liya maine
tasawwur mein kisi ko jalwa farma kar liya maine padi taareekh raaton mein ujaala kar liya maine jhukakar apni gardan farz pura kar liya maine raza e yaar ka sar deke sauda kar liya maine muhabbat aag hoti hai magar ehsaas ki hadd tak jalaaya iss kadar dil ko ki thanda kar liya maine wafa par tab sara bhi ho gaya ankhon hi ankhon mein bhari mehfil mein unse dil ka sauda kar liya maine mere kufr e muhabbat par na kar tanqeed e waiz koi toh baat dekhi thi jo sajda kar liya maine aaj deewane ne apne haq mein achcha kar liya yaar ke nakshe kadam pe aaj sajda kar liya kyun kar jaawan kaabe nu mera sajda yaar pyare nu jinka mazhab ho faqat yaad e sanam deed e sanam woh nahi jaante kaafi yeh musalmaan hona jabeen e shauk jab ek baar peshe aastan rakh di qayamat tak nahi uthi jahan rakh di wahan rakh di sajda karna karam e yaar pe qurbaan hona yun likha hai meri qismat mein musalmaan hona jinka mazhab ho faqat yaad e sanam deed e sanam woh nahi jaante kaafi yeh m...