naaz karta hoon kismat pe apni
sajdon ke liye baab e haram dhoondh liya hai aye yaar tera naksh e kadam dhoondh liya hai kaabe mein koi sar ko jhukaaye to hamein kya hamne tera darbaar e karam dhoondh liya hai kaabe mein jise dhoondhne jaata hai zamaana butkhaane mein hamne wo sanam dhoondh liya hai raah mein jab koi dushwaar makaam aata hai jaane kyun lab pe mere aap ka naam aata hai yeh tasawwur faqat ek baat pe nahi maukoof jis se nisbat ho wo har haal mein kaam aata hai naaz karta hoon kismat pe apni tere daaman se wabastgi hai woh aur honge jo ke hain dar pe jhuk rahe main tera ho gaya hoon mujhe kuch kami nahi mere baba mana ke bahut zor ka toofan e alam hai jab tum ho mere saath toh kis baat ka gham hai na fikar e alam hai na ehsaas e gham hai raho tum salaamat karam hi karam hai naaz karta hoon kismat pe apni tere daaman se wabastgi hai sar jhuka hai tere dar pe mera bandagi ab meri bandagi hai kya karoon daulat e duniya ki tamanna kar ke mutmayin hun main tere dar pe sajda kar...