fasle gul hai saja hai maikhaana
dekh kar aapki jawani ko aarzu e sharaab hoti hai roz tauba ko todta hoon main roz niyat kharaab hoti hai aaapke ke waaste gunah sahi hum piyein toh sawaab banti hai sau ghamon ko nichodne ke baad ek qatra sharaab banti hai fasle gul hai saja hai maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana zindagi jab guzaar deti hai kaleem yaar phir kya bura hai maikhaana shaam ke waqt baithne ke liye sabse achchi jagah hai maikhaana khat hai shayad kisi sharaabi ka khat ke upar likha hai maikhaana kis tarah chchor doon isse waazedil mushkilon se mila hai maikhaana jab se hai wo nazzar khafaa hamse yun lage hai khafaa hai maikhaana