Posts

Showing posts with the label mast ankhon ki kasam lyrics

mast aankhon ki kasam

mast aankhon ki kasam khaane ka mausam aa gaya jaam ko sheeshe se takraane ka mausam aa gaya asmat e tauba ko thukraane ka mausam aa gaya aa gaya peekar behak jaane ka mausam aa gaya aaj tauba ko ghataon ke hawaale kardo tauba to kar chuka tha lekin e jaleel kaali ghata ko dekhkar neeyat badal gayi lutf e mai tujhse kya kahun zahid hay kambakht tune kabhi mai pee hi nahi aye waayza tu sharaab pee le na kar tu kuch ijtanaab pee le main teri manun namaaz padh lun tu meri maan sharaab pee le cham cham karta saawan aaya mee ke dar se bhaagi tauba phir ghata chaayi behak jaane ka mausam aa gaya jaam ka sheeshe ka paimaane ka mausam aa gaya ye fazaan ye chandni raatein ye daur e jaam o mai mastiyon mein gark ho jaane ka mausam aa gaya ho rahin hain ik markaz pe dil ki wahshatein hamnasheen shayad bahar aane ka mausam aa gaya muskuraata hai koi chup chup ke dil ki aad mein hasraton ke raqs farmaane ka mausam aa gaya rafta rafta wakeyat e dard yaad aane lage