Posts

Showing posts with the label ghazal e purnam allahbadi

ham isliye zaalim tera charcha nahi karta

lazzat e intezaar leta hoon yun shab e gham guzaar leta hoon jab bhi dasti hai mujhko tanhayi naam tera pukaar leta hoon roothna mera kaargar na hua yaar mere jatan ko jaan gaya jab wo aaya mujhe manaane ko main badi saadgi se maan gaya bhool ho jaati hai yun taish mein aaya na karo faansle khatam karo yun baat badhaaya na karo ye adayein e ishaare ye nigahein tauba in sharaabon ko yun sarre aam lutaya na karo ham isliye zaalim tera charcha nahi karta aashiq kabhi mashook ko ruswa nahi karte wo haal hi poochein kabhi bimaar e alam ka itni si bhi takleef gawaara nahi karte kaafir na samajh humko tu aye zaahid e nadaan but jaan ke us shokh ko sajda nahi karte dum bharte ho gairon ki muhabbat ka hamesha apnon ko sataate ko ye achcha nahi karte 'Purnam' koi aaj unko gham zaroor hai warna bewajah to ansu kabhi aaya nahi karte