Teri kafir nigahon se wakif hoon main
Koi bhi waqt ho has kar guzar leta hoon Khiza ke daur me ehde bahar leta hoon Gulon se rang sitaron se roshni lekar Jamaal e yaar ka naksha utaar leta hoon Saari duniya ke hasin ek taraf Aap ka rooh e mubeen ek taraf Gulshan e khuld e bareen ek taraf Mere kooche ki zameen ek taraf Ye Jo deewane se do char nazar aate hain Inme kuch sahib e asraar nazar aate hain Teri mehfil ka bharam rakhte hain so jaate hain Warna ye log to bezaar nazar aate hain Mere daman mein to kanton ke siwa kuch bhi nahi Aap phoolon ke kharid dar nazar aate hain Hashar mein kaun gawahi meri dega saagir Sab tumhare hi tarafdar nazar aate hain Uske nazdeek gham e tark e wafa kuch bhi nahi Mutmayin aise hai wo jaise hua kuch bhi nahi Ab to hathon se lakiren bhi miti jaati hain Tujhko khokar to mere pass raha kuch bhi nahi Kal bicharna hai to Phir ehde wafa Soch ke bandh Abhi to aagaz e muhabbat hai gaya kuch bhi nahi Main to iss waaste chup hoon ki tamasha